surma.ī rātoñ se chhinvā kar sahar kī raunaqeñ
nāla-e-shām-e-ġharībāñ bechtā phirtā huuñ maiñ
mauj-e-barbat mauj-e-gul mauj-e-sabā ke saath saath
nik.hat-e-gasu-e-ḳhūbāñ bechtā phirtā huuñ maiñ
dīdanī hai ab mire chāk-e-girebāñ kā ma.aal
kaj-kulāhoñ ke girebāñ bechtā phirtā huuñ maiñ
shola-e-tārīḳh kī zad par hai tāj-e-khusravī
ġharra-e-taqdīr-e-sultāñ bechtā phirtā huuñ maiñ
kalba-e-mehnat-kashāñ ko de ke ġhairat kā charāġh
shaukat-e-qasr-e-zar-afshāñ bechtā phirtā huuñ maiñ