is kashākash meñ yahāñ umr-e-ravāñ guzre hai
jaise sahrā se koī tishna-dahāñ guzre hai
is tarah talḳhī-e-ayyām se baḌhtī hai ḳharāsh
jaise dushnām azīzoñ pe garāñ guzre hai
is tarah dost daġhā de ke chale jaate haiñ
jaise har naf.a ke raste se ziyāñ guzre hai
yuuñ bhī pahuñche haiñ kuchh afsāne haqīqat ke qarīb
jaise ka.abe se koī pīr-e-muġhāñ guzre hai
ham gunahgār jo us samt nikal jaate haiñ
ek āvāz sī aatī hai fulāñ guzre hai