ulfat meñ bigaḌ kar bhī ik vaz.a nikālī hai
dīvāne kī saj-dhaj hī duniyā se nirālī hai
Daalī hai do-ālam par miTTī abhī Daalī hai
bas kuchh nahīñ ab ham meñ yā himmat-e-ālī hai
miltī hai baḌī rāhat ik ḳhāk-nashīnī meñ
maiñ ne to tabī.at hī miTTī kī banā lī hai
is ghar meñ bahut kam hai ab aamad o raft us kī
duniyā kī taraf ham ne dīvār uThā lī hai
kyā rakkhā hai dīvāne in aql kī bātoñ meñ
bar-gashtā-mizājī hai āshufta-ḳhayālī hai
hāsil hai karam us ko ik murshid-e-kāmil kā
'shākir' kī duā le lo 'shākir' ne duā lī hai