Shakir Inayati

jate kahan junun ke tufan mein aa gae

Shakir Inayati

jaate kahāñ junūn ke tūfāñ meñ aa ga.e
āḳhir ko chārāgar mire zindāñ meñ aa ga.e
vo shor-o-ġhul vo shahr kā tūfān-e-zindagī
achchhe rahe vahī jo bayābāñ meñ aa ga.e
vo un kī sair-e-bāġh vo zauq-e-bahār-e-nāz
phuul aap TuuT TuuT ke dāmāñ meñ aa ga.e
us gul kī aarzū meñ ḳhalish is qadar hai kyuuñ
kāñTe kahāñ se hasrat-o-armāñ meñ aa ga.e
jo ghar bachche-bachā.e the tūfān-e-āh se
vo intizām-e-dīda-e-giriyāñ meñ aa ga.e
shāyāñ tumhārī shaan ke ye zindagī nahīñ
tum kyuuñ hamāre ḳhvāb-e-pareshāñ meñ aa ga.e
hai ahl-e-bazm ye bhī ik andāz-e-nāz-e-husn
aañsū kahāñ se sham-e-farozāñ meñ aa ga.e
'shākir' nahīñ hai rabt jinheñ sabr o shukr se
haivāñ hai vo jo sūrat-e-insāñ meñ aa ga.e
Top Urdushayar.com