siyāsat jab zarūrat ho nayā rishta banātī hai
koī kitnā muḳhālif ho use apnā banātī hai
shanāsā ḳhauf kī tasvīr hai us kī bayāzoñ meñ
mirī beTī hasīñ pinjre meñ ik chiḌiyā banātī hai
taḳhayyul harf meñ Dhal kar ubhar aatā hai kāġhaz par
sarāpā sochtā huuñ maiñ ġhazal chehra banātī hai
kisī par mehrbāñ hotī hai jab bhī daulat-e-duniyā
use sāhab use qibla use kyā kyā banātī hai
haqīqī shā.irī dād-e-suḳhan se bhī huī mahrūm
bilā sar-pair vaalī shā.irī paisa banātī hai
gavārā kab hai mamtā ko mirā yuuñ dhuup meñ chalnā
mirī maañ oḌhnī phailā ke ik chhātā banātī hai
ye achchhā.ī meñ bhī 'sābir' burā.ī DhūñD letī hai
ye duniyā hai alif par bhī kabhī shosha banātī hai