Sabir Shah Sabir

ai suKHnawar tarah guman hun main

Sabir Shah Sabir

1971
ai suḳhnavar tarah gumāñ huuñ maiñ
yā faqat harf-e-rā.egāñ huuñ maiñ
aks jal bujh ga.e bujhā chehra
aa.ine se uThā dhuāñ huuñ maiñ
hai mayassar matā-e-tishna-labī
ḳhushk dariyā kā pāsbāñ huuñ maiñ
aag se bair dhuup bhī hai adū
aur ik mom kā makāñ huuñ maiñ
mushtarak ham meñ hijratoñ kī thakan
titliyoñ kā mizāj-dāñ huuñ maiñ
tajarbe kī ghanerī chhāñv liye
ek kohna sā sā.ebāñ huuñ maiñ
kab miTā de mujhe havā kī lakīr
rāh-rau ret par nishāñ huuñ maiñ
kal mirā vasf thā tarīq-e-sulūk
aaj be-nām be-nishāñ huuñ maiñ
shahr meñ harf-e-āshnā hī nahīñ
faiz kyā lafz be-karāñ huuñ maiñ
jo haqīqat the vo ga.e 'sābir'
ek mauhūm dāstāñ huuñ maiñ
Top Urdushayar.com