Sabir Shah Sabir

sanwar jae bhi to munh dekhne darpan nahin milta

Sabir Shah Sabir

1971
sañvar jaa.e bhī to muñh dekhne darpan nahīñ miltā
ġharībī kī kalā.ī meñ koī kañgan nahīñ miltā
baḌoñ kī ḳhvāhishoñ kā bojh hai nanhe se kandhoñ par
hamāre daur meñ bachchoñ ko ab bachpan nahīñ miltā
maiñ zid kar ke kabhī rotā to aañsū poñchh letī thī
abhī rotā huuñ to shafqat-bharā dāman nahīñ miltā
kahīñ jhūle nahīñ paḌte kabhī sarsoñ nahīñ phūlī
yahāñ pardes meñ aa kar mujhe sāvan nahīñ miltā
siyāsat kī dukānoñ se ḳharīdeñ haiñ na.e chehre
sabhī rahbar baneñ phirte haiñ ik rahzan nahīñ miltā
mire aslāf sā koī amānat-dār hai 'sābir'
agar masraf ho zaatī to diyā raushan nahīñ miltā
Top Urdushayar.com