sañg-rezoñ kī tarah pesh-e-nazar rahte haiñ
mere kaase meñ paḌe la.al-o-gohar rahte haiñ
saa.e chunte haiñ kaḌī dhuup ke sahrā se ham
pā-shikasta haiñ magar mahv-e-safar rahte haiñ
kaal koyal kī sadā.eñ na shafaq rañg kahīñ
shahr meñ jaane kahāñ shām-o-sahar rahte haiñ
khelte haiñ mire āñgan meñ vo ḳhush ḳhush bāham
rañj ḳhushiyoñ se bahut shīr-o-shakar rahte haiñ
ḳhema-zan ho to ga.e ḳhāna-badoshī na ga.ī
be-gharī meñ bhī sadā dosh pe ghar rahte haiñ
qahat-sālī hai basīrat kī nagar meñ 'sābir'
kor-chashmoñ se yahāñ ahl-e-nazar rahte haiñ