manzil-e-be-nishāñ se kyā hāsil
gum-shuda kārvāñ se kyā hāsil
tañg hotī zamīñ kā TukḌā de
vus.at-e-āsmāñ se kyā hāsil
kyā kareñ jab ki bujh ga.iiñ āñkheñ
raunq-e-be-karāñ se kyā hāsil
dād-ḳhvāhī kā haq bhī chhīn liyā
ab ki dār-ul-amāñ se kyā hāsil
lams rishtoñ kā paa.eñ dīvāreñ
ghar atā kar makāñ se kyā hāsil
luT ga.iiñ jab mirī matā-e-hayāt
daulat-e-dīgarāñ se kyā hāsil
nazr kar 'zauq' sā fasīh suḳhan
aisī kaj-maj zabāñ se kyā hāsil