Shahid Shaidai

sine ki misal aag hai chandi sa dhuan hai

Shahid Shaidai

Amritsar, Punjab, India

1938
siine kī misāl aag hai chāñdī sā dhuāñ hai
kyā ḳhuub mire ghar kī tabāhī kā samāñ hai
dekhūñ to mire ġham meñ sharīk ek zamāna
sochūñ to yahāñ koī makīñ hai na makāñ hai
kis darja tilismī hai mire gaañv kā manzar
sūkhe hue har khet pe sabze kā gumāñ hai
aisā bhī koī shahr-e-tamannā hai zamīñ par
luTne kā jahāñ ḳhauf na andesha-e-jāñ hai
pītal kā ḳharīdār samajhte haiñ mujhe log
har shaḳhs kī bāzār meñ chāñdī kī dukāñ hai
aarī hai magar zaḳhm se har sāya-e-dīvār
har chand kī dīvār pe bārish kā nishāñ hai
patthar ke kisī shahr meñ ābād hai 'shāhid'
hai mom kā insān to shīshe kā makāñ hai
Top Urdushayar.com