Thahre bhī nahīñ haiñ kahīñ chalte bhī nahīñ haiñ
ham jism kī sarhad se nikalte bhī nahīñ haiñ
ḳhud se mileñge soch ke ghar se haiñ nikalte
lekin kamāl ye hai ki milte bhī nahīñ haiñ
palkoñ ke kināroñ pe haiñ bechain se aañsū
girte bhī nahīñ aur sambhalte bhī nahīñ haiñ
āñkhoñ kī ye sāzish hai yā nīñdoñ kī baġhāvat
bachchoñ kī tarah ḳhvāb jo palte bhī nahīñ haiñ
ik rañg hī is ziist ko kaafī hai 'sachin' bas
mausam kī tarah rañg badalte bhī nahīñ haiñ