Sachin Shalini

kaise sach se rahe be-KHabar aaina

Sachin Shalini

Bareilly, Uttar pradesh, India

1979
kaise sach se rahe be-ḳhabar aa.ina
aaj ḳhush hai bahut TuuT kar aa.ina
har taraf be-zamīrī nazar aa.egī
ho gayā gar ye puurā nagar aa.ina
aa.ina log ghar meñ sajāte haiñ par
maiñ ne kar Daalā puurā hī ghar aa.ina
jhūThe chehroñ ko sachchā batātā sadā
rakhtā insāñ sī fitrat agar aa.ina
aa.ine kī hai ik aur ḳhūbī suno
sab ko aatā nahīñ hai nazar aa.ina
lag na jaa.e koī daaġh kirdār par
zinda rakhtā hai dil meñ ye Dar aa.ina
sirf sūrat nahīñ jis meñ sīrat dikhe
aisā ban kar chale ham-safar aa.ina
vo badalte haiñ kirdār din meñ ka.ī
dekhte haiñ jo shām-o-sahar aa.ina
mujh ko dete haiñ ab vo nasīhat 'sachin'
dekh paa.e na jo umr-bhar aa.ina
Top Urdushayar.com