Ahmad Nadeem Qasmi

khaDa tha kab se zamin piTh par uThae hue

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
khaḌā thā kab se zamīñ piiTh par uThā.e hue
aab aadmī hai qayāmat se lau lagā.e hue
ye dasht se umaD aayā hai kis kā sail-e-junūñ
ki husn-e-shahr khaḌā hai naqāb uThā.e hue
ye bhed tere sivā ai ḳhudā kise mālūm
azaab TuuT paḌe mujh pe kis ke laa.e hue
ye sail-e-āb na thā zalzala thā paanī kā
bikhar bikhar ga.e qarye mire basā.e hue
ajab tazād meñ kaaTā hai zindagī kā safar
laboñ pe pyaas thī bādal the sar pe chhā.e hue
sahar huī to koī apne ghar meñ ruk na sakā
kisī ko yaad na aa.e diye jalā.e hue
ḳhudā kī shaan ki munkir haiñ ādamiyyat ke
ḳhud apnī sukḌī huī zaat ke satā.e hue
jo āstīn chaḌhā.eñ bhī muskurā.eñ bhī
vo log haiñ mire barsoñ ke āzmā.e hue
ye inqilāb to ta.amīr ke mizāj meñ hai
girā.e jaate haiñ aivāñ bane-banā.e hue
ye aur baat mire bas meñ thī na guuñj is kī
mujhe to muddateñ guzrīñ ye giit gaa.e hue
mirī hī god meñ kyuuñ kaT ke gir paḌe haiñ 'nadīm'
abhī duā ke liye the jo haath uThā.e hue
Top Urdushayar.com