Ahmad Nadeem Qasmi

suraj ko nikalna hai so niklega dobara

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
sūraj ko nikalnā hai so niklegā dobārā
ab dekhiye kab Dūbtā hai sub.h kā taarā
maġhrib meñ jo Duube use mashriq hī nikāle
maiñ ḳhuub samajhtā huuñ mashiyyat kā ishārā
paḌhtā huuñ jab us ko to sanā kartā huuñ rab kī
insān kā chehra hai ki qur.ān kā paara
jī haar ke tum paar na kar paao nadī bhī
vaise to samundar kā bhī hotā hai kinārā
jannat milī jhūToñ ko agar jhuuT ke badle
sachchoñ ko sazā meñ hai jahannam bhī gavārā
ye kaun sā insāf hai ai arsh-nashīno
bijlī jo tumhārī hai to ḳhirman hai hamārā
mustaqbil-e-insān ne elaan kiyā hai
ā.inda se be-tāj rahegā sar-e-dārā
Top Urdushayar.com