ik mohabbat ke evaz arz-o-samā de dūñgā
tujh se kāfir ko to maiñ apnā ḳhudā de dūñgā
justujū bhī mirā fan hai mire bichhḌe hue dost
jo bhī dar band milā us pe sadā de dūñgā
ek pal bhī tire pahlū meñ jo mil jaa.e to maiñ
apne ashkoñ se use āb-e-baqā de dūñgā
ruḳh badal dūñgā sabā kā tire kūche kī taraf
aur tūfān ko apnā hī patā de dūñgā
jab bhī aa.eñ mire hāthoñ meñ rutoñ kī bāgeñ
barf ko dhuup to sahrā ko ghaTā de dūñgā
tū karam kar nahīñ saktā to sitam toḌ ke dekh
maiñ tire zulm ko bhī husn-e-adā de dūñgā
ḳhatm gar ho na sakī uzr-tarāshī terī
ik sadī tak tujhe jiine kī duā de dūñgā