Ahmad Nadeem Qasmi

main kisi shaKHs se bezar nahin ho sakta

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
maiñ kisī shaḳhs se bezār nahīñ ho saktā
ek zarra bhī to be-kār nahīñ ho saktā
is qadar pyaar hai insāñ kī ḳhatāoñ se mujhe
ki farishta mirā me.aar nahīñ ho saktā
ai ḳhudā phir ye jahannam kā tamāshā kiyā hai
terā shahkār to finnār nahīñ ho saktā
ai haqīqat ko faqat ḳhvāb samajhne vaale
tū kabhī sāhab-e-asrār nahīñ ho saktā
tū ki ik mauja-e-nik.hat se bhī chauñk uThtā hai
hashr aatā hai to bedār nahīñ ho saktā
sar-e-dīvār ye kyuuñ nirḳh kī takrār huī
ghar kā āñgan kabhī bāzār nahīñ ho saktā
raakh sī majlis-e-aqvām kī chuTkī meñ hai kyā
kuchh bhī ho ye mirā pindār nahīñ ho saktā
is haqīqat ko samajhne meñ luTāyā kyā kuchh
merā dushman mirā ġham-ḳhvār nahīñ ho saktā
maiñ ne bhejā tujhe aivān-e-hukūmat meñ magar
ab to barsoñ tirā dīdār nahīñ ho saktā
tīrgī chāhe sitāroñ kī sifārish laa.e
raat se mujh ko sarokār nahīñ ho saktā
vo jo sheroñ meñ hai ik shai pas-e-alfāz 'nadīm'
us kā alfāz meñ iz.hār nahīñ ho saktā
Top Urdushayar.com