hamesha zulm ke manzar hameñ dikhā.e ga.e
pahāḌ toḌe ga.e aur mahal banā.e ga.e
tulū-e-sub.h kī afvāh itnī aam huī
ki nisf shab ko gharoñ ke diye bujhā.e ga.e
ab ek baar to qudrat javāb-dah Thahre
hazār baar ham insān āzmā.e ga.e
falak kā tantana bhī TuuT kar zamīñ pe girā
sutūn ek gharauñde ke jab girā.e ga.e
tirī ḳhudā.ī meñ shāmil agar nasheb bhī haiñ
to phir kalīm sar-e-tūr kyuuñ bulā.e ga.e
ye āsmāñ the ki ā.īne the ḳhalāoñ meñ
mah-o-nujūm meñ jhāñkā to ham hī paa.e ga.e
darāz-e-shab meñ koī apnā ham-safar hī na thā
magar 'nadīm' sadā.eñ to ham lagā.e ga.e