phir bhayānak tīrgī meñ aa ga.e
ham gajar bajne se dhokā khā ga.e
haa.e ḳhvāboñ kī ḳhayābāñ-sāziyāñ
aañkh kyā kholī chaman murjhā ga.e
kaun the āḳhir jo manzil ke qarīb
aa.ine kī chādareñ phailā ga.e
kis tajallī kā diyā ham ko fareb
kis dhundalke meñ hameñ pahuñchā ga.e
un kā aanā hashr se kuchh kam na thā
aur jab palTe qayāmat Dhā ga.e
ik pahelī kā hameñ de kar javāb
ik pahelī ban ke har sū chhā ga.e
phir vahī aḳhtar-shumārī kā nizām
ham to is takrār se uktā ga.e
rahnumāo raat abhī baaqī sahī
aaj sayyāre agar Takrā ga.e
kyā rasā niklī duā-e-ijtihād
vo chhupāte hī rahe ham pā ga.e
bas vahī memār-e-fardā haiñ 'nadīm'
jin ko mere valvale raas aa ga.e