Ahmad Nadeem Qasmi

lab-e-KHamosh se ifsha hoga

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
lab-e-ḳhāmosh se ifshā hogā
raaz har rañg meñ rusvā hogā
dil ke sahrā meñ chalī sard havā
abr gulzār pe barsā hogā
tum nahīñ the to sar-e-bām-e-ḳhayāl
yaad kā koī sitāra hogā
kis tavaqqo.a pe kisī ko dekheñ
koī tum se bhī hasīñ kyā hogā
zīnat-e-halqa-e-āġhosh bano
duur baiThoge to charchā hogā
jis bhī fankār kā shahkār ho tum
us ne sadiyoñ tumheñ sochā hogā
aaj kī raat bhī tanhā hī kaTī
aaj ke din bhī añdherā hogā
kis qadar karb se chaTkī hai kalī
shāḳh se gul koī TuuTā hogā
umr bhar ro.e faqat is dhun meñ
raat bhīgī to ujālā hogā
saarī duniyā hameñ pahchāntī hai
koī ham sā bhī na tanhā hogā
Top Urdushayar.com