Ahmad Nadeem Qasmi

barish ki rut thi raat thi pahlu-e-yar tha

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
bārish kī rut thī raat thī pahlū-e-yār thā
ye bhī tilism-e-gardish-e-lail-o-nahār thā
kahte haiñ log auj pe thā mausam-e-bahār
dil kah rahā hai arbada-e-zulf-e-yār thā
ab to visāl-e-yār se behtar hai yād-e-yār
maiñ bhī kabhī fareb-e-nazar kā shikār thā
tū merī zindagī se bhī katrā ke chal diyā
tujh ko to merī maut pe bhī iḳhtiyār thā
o gaane vaale TūTte tāroñ ke saaz par
maiñ bhī shahīd-e-tūl-e-shab-e-intizār thā
palkeñ uThīñ jhapak ke girīñ phir na uTh sakīñ
ye e'tibār hai to kahāñ e'tibār thā
yazdāñ se bhī ulajh hī paḌā thā tirā 'nadīm'
ya.anī azal se dil meñ yahī ḳhalfashār thā
Top Urdushayar.com