shu.ūr meñ kabhī ehsās meñ basā.ūñ use
magar maiñ chaar taraf be-hijāb pā.ūñ use
agarche fart-e-hayā se nazar na aa.uuñ use
vo ruuTh jaa.e to sau tarah se manā.ūñ use
tavīl hijr kā ye jabr hai ki sochtā huuñ
jo dil meñ bastā hai ab haath bhī lagā.ūñ use
use bulā ke milā umr bhar kā sannāTā
magar ye shauq ki ik baar phir bulā.ūñ use
añdherī raat meñ jab rāsta nahīñ miltā
maiñ sochtā huuñ kahāñ jā ke DhūñD lā.ūñ use
abhī tak us kā tasavvur to mere bas meñ hai
vo dost hai to ḳhudā kis liye banā.ūñ use
'nadīm' tark-e-mohabbat ko ek umr huī
maiñ ab bhī soch rahā huuñ ki bhuul jā.ūñ use