Ahmad Nadeem Qasmi

ajab surur mila hai mujhe dua kar ke

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
ajab surūr milā hai mujhe duā kar ke
ki muskurāyā ḳhudā bhī sitāra vā kar ke
gadā-gadī bhī ik uslūb-e-fan hai jab maiñ ne
usī ko maañg liyā us se iltijā kar ke
shab-e-firāq ke har jabr ko shikast huī
ki maiñ ne sub.h to kar lī ḳhudā ḳhudā kar ke
ye soch kar ki kabhī to javāb aa.egā
maiñ us ke dar pe khaḌā rah gayā sadā kar ke
ye chāra-gar haiñ ki ik ijtimā-e-bad-zauqāñ
vo mujh ko dekheñ tirī zaat se judā kar ke
ḳhudā bhī un ko na baḳhshe to lutf aa jaa.e
jo apne-āp se sharminda huuñ ḳhatā kar ke
ḳhud apnī zaat pe to e'timād puḳhta huā
'nadīm' yuuñ to mujhe kyā milā vafā kar ke
Top Urdushayar.com