maiñ vo shā.er huuñ jo shāhoñ kā sanā-ḳhvāñ na huā
ye hai vo jurm jo mujh se kisī unvāñ na huā
is gunah par mirī ik umr añdhere meñ kaTī
mujh se is maut ke mele meñ charāġhāñ na huā
kal jahāñ phuul khile jashn hai zaḳhmoñ kā vahāñ
dil vo gulshan hai ujaḌ kar bhī jo vīrāñ na huā
āñkheñ kuchh aur dikhātī haiñ magar zehn kuchh aur
baaġh mahke magar ehsās-e-bahārāñ na huā
yuuñ to har daur meñ girte rahe insān ke nirḳh
in ġhulāmoñ meñ koī yūsuf-e-kan.āñ na huā
maiñ ḳhud āsūda huuñ kam-kosh huuñ yā pathar huuñ
zaḳhm khā ke bhī mujhe dard kā irfāñ na huā
saarī duniyā mutalātim nazar aatī hai 'nadīm'
mujh pe ik tanz huā rauzan-e-zindāñ na huā