andāz hū-ba-hū tirī āvāz-e-pā kā thā
dekhā nikal ke ghar se to jhoñkā havā kā thā
is husn-e-ittifāq pe luT kar bhī shaad huuñ
terī razā jo thī vo taqāzā vafā kā thā
dil raakh ho chukā to chamak aur baḌh ga.ī
ye terī yaad thī ki amal kīmiyā kā thā
is rishta-e-latīf ke asrār kyā khuleñ
tū sāmne thā aur tasavvur ḳhudā kā thā
chhup chhup ke ro.uuñ aur sar-e-anjuman hañsūñ
mujh ko ye mashvara mire dard-āshnā kā thā
uTThā ajab tazād se insān kā ḳhamīr
aadī fanā kā thā to pujārī baqā kā thā
TuuTā to kitne ā.ina-ḳhānoñ pe zad paḌī
aTkā huā gale meñ jo patthar sadā kā thā
hairān huuñ ki vaar se kaise bachā 'nadīm'
vo shaḳhs to ġharīb o ġhayūr intihā kā thā