Ahmad Nadeem Qasmi

meri mahdud basarat ka natija nikla

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
merī mahdūd basārat kā natīja niklā
āsmāñ mere tasavvur se bhī halkā niklā
roz-e-avval se hai fitrat kā raqīb ādam-zād
dhuup niklī to mire jism se saaya niklā
sar-e-dariyā thā charāġhāñ ki ajal raqs meñ thī
bulbulā jab koī TuuTā to sharārā niklā
baat jab thī ki sar-e-shām farozāñ hotā
raat jab ḳhatm huī sub.h kā taarā niklā
muddatoñ ba.ad jo royā huuñ to ye sochtā huuñ
aaj to sīna-e-sahrā se bhī dariyā niklā
kuchh na thā kuchh bhī na thā jab mire āsār khude
ek dil thā so ka.ī jagah se TuuTā niklā
log shahpāra-e-yak-jā.ī jise samjhe the
apnī ḳhalvat se jo niklā to bikhartā niklā
merā īsār mire zo.am meñ be-ajr na thā
aur maiñ apnī adālat meñ bhī jhūTā niklā
maiñ to samjhā thā bahut sard hai zāhid kā mizāj
us ke andar to qayāmat kā tamāsha niklā
vahī be-ant ḳhalā hai vahī be-samt safar
merā ghar mere liye ālam-e-bālā niklā
zindagī ret ke zarrāt kī gintī thī 'nadīm'
kyā sitam hai ki adam bhī vahī sahrā niklā
Top Urdushayar.com