Ahmad Nadeem Qasmi

yun to is jalwa-gah-e-husn mein kya kya dekha

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
yuuñ to is jalva-gah-e-husn meñ kyā kyā dekhā
jab tujhe dekh chuke koī na tujh sā dekhā
jab tirī dhun meñ kahīñ lāla-e-sahrā dekhā
ham ye samjhe ki tirā naqsh-e-kaf-e-pā dekhā
taare TuuTe to fazā meñ tirī aahaT gūñjī
chāñd niklā to tirā chehra-e-zebā dekhā
shahr-e-aġhyār sahī itnī ḳhushī kyā kam hai
ham ne dekhā tujhe aur anjuman-ārā dekhā
ham ko Thukrā ke kuchh aise tire tevar badle
jab sar-e-bazm bhī dekhā tujhe tanhā dekhā
ham to samjhe the qayāmat hai firāq-e-mahbūb
tujh se mil kar bhī magar hashr hī barpā dekhā
sub.h jab dhuup ke chashme se nahā kar niklī
ham ne ā.īna badal terā sarāpā dekhā
bijliyāñ ab to tire abr-e-karam kī barseñ
umr-bhar apne sulagte kā tamāshā dekhā
ham jo bhaTke bhī to kis shān-e-vafā se bhaTke
ham ne har laġhzish-e-pā meñ tirā iimā dekhā
ham ba-īñ tīra-nasībī na bane tīra-nazar
ham ne har raat kī chitvan meñ sitārā dekhā
terī qudrat kī siyāsat na samajh meñ aa.ī
haram-o-dair ko har daur meñ yakjā dekhā
aañkh kholī to jahāñ kān-e-javāhar thā 'nadīm'
haath phailā.e to har chiiz ko anqā dekhā
Top Urdushayar.com