Ahmad Nadeem Qasmi

kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
kaun kahtā hai ki maut aa.ī to mar jā.ūñgā
maiñ to dariyā huuñ samundar meñ utar jā.ūñgā
terā dar chhoḌ ke maiñ aur kidhar jā.ūñgā
ghar meñ ghir jā.ūñgā sahrā meñ bikhar jā.ūñgā
tere pahlū se jo uTThūñgā to mushkil ye hai
sirf ik shaḳhs ko pā.ūñgā jidhar jā.ūñgā
ab tire shahr meñ ā.ūñgā musāfir kī tarah
saya-e-abr kī mānind guzar jā.ūñgā
terā paimān-e-vafā raah kī dīvār banā
varna sochā thā ki jab chāhūñgā mar jā.ūñgā
chārasāzoñ se alag hai mirā me.aar ki maiñ
zaḳhm khā.ūñgā to kuchh aur sañvar jā.ūñgā
ab to ḳhurshīd ko guzre hue sadiyāñ guzrīñ
ab use DhūñDne maiñ tā-ba-sahar jā.ūñgā
zindagī sham.a kī mānind jalātā huuñ 'nadīm'
bujh to jā.ūñgā magar sub.h to kar jā.ūñgā
Top Urdushayar.com