bazm-e-insāñ meñ bhī ik raat basar kar dekho
ek baar apnī zamīñ par bhī utar kar dekho
is ufuq par na agar jannat-e-mau.ūda milī
is ufuq tak bhī jo chāho to safar kar dekho
koī Duubī huī kashtī hai ki sāhil kā nishāñ
apnī sochoñ ke samundar se ubhar kar dekho
ḳhud ko dekho mire me.aar ke ā.īne meñ
ik zarā mujh pe ye ehsān bhī dhar kar dekho
mausam-e-gul hai to kirdār-e-chaman kyuuñ badle
aag phūloñ ko to shabnam ko sharar kar dekho
har zamāne meñ bujhe to nahīñ rahte ḳhurshed
gardisho aaj mirī shab ko sahar kar dekho