Ahmad Nadeem Qasmi

mudawa habs ka hone laga aahista aahista

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
mudāvā habs kā hone lagā āhista āhista
chalī aatī hai vo mauj-e-sabā āhista āhista
zarā vaqfa se niklegā magar niklegā chāñd āḳhir
ki sūraj bhī to maġhrib meñ chhupā āhista āhista
koī suntā to ik kohrām barpā thā havāoñ meñ
shajar se ek pattā jab girā āhista āhista
abhī se harf-e-ruḳhsat kyuuñ jab aadhī raat baaqī hai
gul o shabnam to hote haiñ judā āhista āhista
mujhe manzūr gar tark-e-ta'alluq hai razā terī
magar TūTegā rishta dard kā āhista āhista
phir is ke baad shab hai jis kī had sub.h-e-abad tak hai
muġhannī shaam kā naġhma sunā āhista āhista
shab-e-furqat meñ jab najm-e-sahar bhī Duub jaate haiñ
utartā hai mire dil meñ ḳhudā āhista āhista
maiñ shahr-e-dil se niklā huuñ sab āvāzoñ ko dafnā kar
'nadīm' ab kaun detā hai sadā āhista āhista
Top Urdushayar.com