Ahmad Nadeem Qasmi

shab-e-firaq ko jab muzhda-e-sahar aaya

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
shab-e-firāq ko jab muzhda-e-sahar aayā
to ik zamāna tirā muntazir nazar aayā
tamām-umr kī sahrā-navardiyoñ ke ba.ad
tirā maqām sar-e-gard-e-rahguzar aayā
ye kaun ābla-pā is taraf se guzrā hai
nuqūsh-e-pā meñ jo phūloñ ke rañg bhar aayā
kise majāl ki nazzāra-e-jamāl kare
is anjuman meñ jo aayā ba-chashm-e-tar aayā
tirī talab ke ghane jañgaloñ meñ aag lagī
mire ḳhayāl meñ jab vahm-e-rahguzar aayā
simaT gayā mirī bāhoñ meñ jab vo paikar-e-rañg
to is kā rañg mujhe duur tak nazar aayā
is ārizoñ meñ ki zid kibriyā kī puurī ho
'nadīm' ḳhaak pe aflāk se utar aayā
Top Urdushayar.com