yuuñ to pahne hue pairāhan-e-ḳhār aatā huuñ
ye bhī dekho ki ba-saudā-e-bahār aatā huuñ
arsh se jab nahīñ uThtī mirī fariyād kī guuñj
maiñ tujhe dil ke ḳharābe meñ pukār aatā huuñ
mujhe aatā hī nahīñ bas meñ kisī ke aanā
aa.uuñ bhī to ba-kaf-e-ābla-dār aatā huuñ
tū yahāñ zer-e-ufuq chand ghaḌī sustā le
maiñ zarā din se nimaT kar shab-e-tār! aatā huuñ
tujh se chhuT kar bhī tirī surḳhī-e-āriz kī qasam
chupke chupke tire dil meñ ka.ī baar aatā huuñ
ye alag baat ki phūloñ pe ho zaḳhmoñ kā gumāñ
maiñ to jab aatā huuñ ham-rañg-e-bahār aatā huuñ
dasht-e-har-fikr se maiñ asr-e-ravāñ kā insāñ
ho ke ḳhud apnī zehānat kā shikār aatā huuñ
inhī do bātoñ meñ kaT jaatī hai sab umr 'nadīm'
ai ġham-e-dahr na chheḌ ai ġham-e-yār aatā huuñ