marūñ to maiñ kisī chehre meñ rañg bhar jā.ūñ
'nadīm' kaash yahī ek kaam kar jā.ūñ
ye dasht-e-tark-e-mohabbat ye tere qurb kī pyaas
jo izn ho to tirī yaad se guzar jā.ūñ
mirā vajūd mirī ruuh ko pukārtā hai
tirī taraf bhī chalūñ to Thahar Thahar jā.ūñ
tire jamāl kā partav hai sab hasīnoñ par
kahāñ kahāñ tujhe DhūñDūñ kidhar kidhar jā.ūñ
maiñ zinda thā ki tirā intizār ḳhatm na ho
jo tū milā hai to ab sochtā huuñ mar jā.ūñ
tire sivā koī shā.ista-vafā bhī to ho
maiñ tere dar se jo uThūñ to kis ke ghar jā.ūñ
ye sochtā huuñ ki maiñ but-parast kyuuñ na huā
tujhe qarīb jo pā.ūñ to ḳhud se Dar jā.ūñ
kisī chaman meñ bas is ḳhauf se guzar na huā
kisī kalī pe na bhūle se paañv dhar jā.ūñ
ye jī meñ aatī hai taḳhlīq-e-fan ke lamhoñ meñ
ki ḳhuun ban ke rag-e-sañg meñ utar jā.ūñ