machaltī hai mire āġhosh meñ ḳhushbu-e-yār ab tak
mirī āñkhoñ meñ hai is sehr-e-rañgīñ kā ḳhumār ab tak
koī aatā nahīñ ab dil kī bastī meñ magar phir bhī
umīdoñ ke charāġhoñ se haiñ raushan rahguzār ab tak
abhī tak nisf shab ko chāñdnī gaatī hai jharnoñ meñ
nahīñ badlī shabāb-e-muntazir kī yādgār ab tak
jalā rakkhe haiñ shahrāhoñ pe ashkoñ ke diye kab se
nahīñ guzrā kabhī is samt se vo shahsavār ab tak
shikast-e-ārzū ko ishq kā anjām kyuuñ samjhūñ
muqābil hai mire ā.īna-e-lail-o-nahār ab tak