Ahmad Nadeem Qasmi

ji chahta hai falak pe jaun

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
jī chāhtā hai falak pe jā.ūñ
sūraj ko ġhurūb se bachā.ūñ
bas merā chale jo gardishoñ par
din ko bhī na chāñd ko bujhā.ūñ
maiñ chhoḌ ke sīdhe rāstoñ ko
bhaTkī huī nekiyāñ kamā.ūñ
imkān pe is qadar yaqīñ hai
sahrāoñ meñ biij Daal aa.uuñ
maiñ shab ke musāfiroñ kī ḳhātir
mish.al na mile to ghar jalā.ūñ
ash.ār haiñ mere isti.āre
aao tumheñ aa.ine dikhā.ūñ
yuuñ baT ke bikhar ke rah gayā huuñ
har shaḳhs meñ apnā aks pā.ūñ
āvāz jo duuñ kisī ke dar par
andar se bhī ḳhud nikal ke aa.uuñ
ai chāragarān-e-asr-e-hāzir
faulād kā dil kahāñ se lā.ūñ
har raat duā karūñ sahar kī
har sub.h nayā fareb khā.ūñ
har jabr pe sabr kar rahā huuñ
is tarah kahīñ ujaḌ na jā.ūñ
ronā bhī to tarz-e-guftugū hai
āñkheñ jo rukeñ to lab hilā.ūñ
ḳhud ko to 'nadīm' āzmāyā
ab mar ke ḳhudā ko āzmā.ūñ
Top Urdushayar.com