Ahmad Nadeem Qasmi

umr bhar usne isi tarah lubhaya hai mujhe

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
umr bhar us ne isī tarah lubhāyā hai mujhe
vo jo is dasht ke us paar se laayā hai mujhe
kitne ā.īnoñ meñ ik aks dikhāyā hai mujhe
zindagī ne jo akelā kabhī paayā hai mujhe
tū mirā kufr bhī hai tū mirā īmān bhī hai
tū ne luuTā hai mujhe tū ne basāyā hai mujhe
maiñ tujhe yaad bhī kartā huuñ to jal uThtā huuñ
tū ne kis dard ke sahrā meñ gañvāyā hai mujhe
tū vo motī ki samundar meñ bhī sho.ala-zan thā
maiñ vo aañsū ki sar-e-ḳhāk girāyā hai mujhe
itnī ḳhāmosh hai shab log Dare jaate haiñ
aur maiñ sochtā huuñ kis ne bulāyā hai mujhe
merī pahchān to mushkil thī magar yāroñ ne
zaḳhm apne jo kurede haiñ to paayā hai mujhe
vā.iz-e-shahr ke na.aroñ se to kyā khultī aañkh
ḳhud mire ḳhvāb kī haibat ne jagāyā hai mujhe
ai ḳhudā ab tire firdaus pe merā haq hai
tū ne is daur ke dozaḳh meñ jalāyā hai mujhe
Top Urdushayar.com