diloñ se ārzū-e-umr-e-jāvedāñ na ga.ī
koī nigāh pas-e-gard-e-kārvāñ na ga.ī
vo aur chiiz hai hote haiñ jis se dil shādāb
tirī bahār se vīrānī-e-ḳhizāñ na ga.ī
nikal ke ḳhuld se bhī aadmī na pachhtāyā
zamīñ pe bhī chaman-ārā.ī-e-gumāñ na ga.ī
bas ek kunj-e-qafas tak na aa sakī varna
sabā chalī to chaman meñ kahāñ kahāñ na ga.ī
kahāñ kahāñ na huiiñ sabt husn kī mohreñ
kalī havā meñ bikhar kar bhī rā.egāñ na ga.ī
mirī duā kī ye ġhairat hai kitnī qābil-e-dād
ki lab tak aa.ī magar sū-e-asmāñ na ga.ī
dayār-e-ishq khañDar aur dasht-e-dil sunsān
magar 'nadīm' kī rañgīni-e-bayāñ na ga.ī