Ahmad Nadeem Qasmi

mera ghurur tujhe kho ke haar man gaya

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
mirā ġhurūr tujhe kho ke haar maan gayā
maiñ choT khā ke magar apnī qadr jaan gayā
kahīñ ufuq na milā merī dasht-gardī ko
maiñ terī dhun meñ bharī kā.enāt chhān gayā
ḳhudā ke ba.ad to be-intihā añdherā hai
tirī talab meñ kahāñ tak na merā dhyān gayā
jabīñ pe bal bhī na aatā gañvā ke donoñ-jahāñ
jo tū chhinā to maiñ apnī shikast maan gayā
badalte rañg the terī umañg ke ġhammāz
tū mujh se bichhḌā to maiñ terā raaz jaan gayā
ḳhud apne aap se maiñ shikva-sanj aaj bhī huuñ
'nadīm' yuuñ to mujhe ik jahān maan gayā
Top Urdushayar.com