ajiib rañg tire husn kā lagāv meñ thā
gulāb jaise kaḌī dhuup ke alaav meñ thā
hai jis kī yaad mirī fard-e-jurm kī surḳhī
usī kā aks mire ek ek ghaav meñ thā
yahāñ vahāñ se kināre mujhe bulāte rahe
magar maiñ vaqt kā dariyā thā aur bahāv meñ thā
urūs-e-gul ko sabā jaise gudgudā ke chalī
kuchh aisā pyaar kā aalam tire subhāv meñ thā
maiñ pur-sukūñ huuñ magar merā dil hī jāntā hai
jo intishār mohabbat ke rakh-rakhāv meñ thā
ġhazal ke ruup meñ tahzīb gā rahī thī 'nadīm'
mirā kamāl mire fan ke is rachāv meñ thā