daavā to kiyā husn-e-jahāñ-soz kā sab ne
duniyā kā magar ruup baḌhāyā tirī chhab ne
tū niind meñ bhī merī taraf dekh rahā thā
sone na diyā mujh ko siyah-chashmi-e-shab ne
har zaḳhm pe dekhī haiñ tire pyaar kī mohreñ
ye gul bhī khilā.e haiñ terī surḳhi-e-lab ne
ḳhushbu-e-badan aa.ī hai phir mauj-e-sabā se
phir kis ko pukārā hai tire shahr tarab ne
darkār hai mujh ko to faqat izn-e-tabassum
patthar se agar phuul ugaa.e mire rab ne
vo husn hai insān kī merāj-e-tasavvur
jis husn ko puujā hai mire sher o adab ne