Ahmad Nadeem Qasmi

har lamha agar gurez-pa hai

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
har lamha agar gurez-pā hai
tū kyuuñ mire dil meñ bas gayā hai
chilman meñ gulāb sambhal rahā hai
ye tū hai ki shoḳhi-e-sabā hai
jhuktī nazreñ batā rahī haiñ
mere liye tū bhī sochtā hai
maiñ tere kahe se chup huuñ lekin
chup bhī tū bayān-e-mudda.ā hai
har des kī apnī apnī bolī
sahrā kā sukūt bhī sadā hai
ik umr ke ba.ad muskurā kar
tū ne to mujhe rulā diyā hai
us vaqt kā hisāb kyā duuñ
jo tere baġhair kaT gayā hai
maazī kī sunā.ūñ kyā kahānī
lamha lamha guzar gayā hai
mat maañg duā.eñ jab mohabbat
terā merā muāmla hai
ab tujh se jo rabt hai to itnā
terā hī ḳhudā mirā ḳhudā hai
rone ko ab ashk bhī nahīñ haiñ
yā ishq ko sabr aa gayā hai
ab kis kī talāsh meñ haiñ jhoñke
maiñ ne to diyā bujhā diyā hai
kuchh khel nahīñ hai ishq karnā
ye zindagī bhar kā rat-jagā hai
Top Urdushayar.com