Ahmad Nadeem Qasmi

wo koi aur na tha chand KHushk patte the

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
vo koī aur na thā chand ḳhushk patte the
shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe ro.e the
abhī abhī tumheñ sochā to kuchh na yaad aayā
abhī abhī to ham ik dūsre se bichhḌe the
tumhāre ba.ad chaman par jab ik nazar Daalī
kalī kalī meñ ḳhizāñ ke charāġh jalte the
tamām umr vafā ke gunāhgār rahe
ye aur baat ki ham aadmī to achchhe the
shab-e-ḳhamosh ko tanhā.ī ne zabāñ de dī
pahāḌ gūñjte the dasht sansanāte the
vo ek baar mire jin ko thā hayāt se pyaar
jo zindagī se gurezāñ the roz marte the
na.e ḳhayāl ab aate haiñ Dhal ke aahan meñ
hamāre dil meñ kabhī khet lahlahāte the
ye irtiqā kā chalan hai ki har zamāne meñ
purāne log na.e aadmī se Darte the
'nadīm' jo bhī mulāqāt thī adhūrī thī
ki ek chehre ke pīchhe hazār chehre the
Top Urdushayar.com