Ahmad Nadeem Qasmi

sans lena bhi saza lagta hai

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
saañs lenā bhī sazā lagtā hai
ab to marnā bhī ravā lagtā hai
koh-e-ġham par se jo dekhūñ to mujhe
dasht āġhosh-e-fanā lagtā hai
sar-e-bāzār hai yāroñ kī talāsh
jo guzartā hai ḳhafā lagtā hai
mausam-e-gul meñ sar-e-shāḳh-e-gul
sho.ala bhaḌke to bajā lagtā hai
muskurātā hai jo is aalam meñ
ba-ḳhudā mujh ko ḳhudā lagtā hai
itnā mānūs huuñ sannāTe se
koī bole to burā lagtā hai
un se mil kar bhī na kāfūr huā
dard ye sab se judā lagtā hai
nutq kā saath nahīñ detā zehn
shukr kartā huuñ gila lagtā hai
is qadar tund hai raftār-e-hayāt
vaqt bhī rishta-bapā lagtā hai
Top Urdushayar.com