Ahmad Nadeem Qasmi

zist aazar hui jati hai

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
ziist āzār huī jaatī hai
saañs talvār huī jaatī hai
jism be-kār huā jaatā hai
ruuh bedār huī jaatī hai
kaan se dil meñ utartī nahīñ baat
aur guftār huī jaatī hai
Dhal ke niklī hai haqīqat jab se
kuchh pur-asrār huī jaatī hai
ab to har zaḳhm kī muñh-band kalī
lab-e-iz.hār huī jaatī hai
phuul hī phuul haiñ har samt 'nadīm'
raah dushvār huī jaatī hai
Top Urdushayar.com