Ahmad Nadeem Qasmi

phulon se lahu kaise Tapakta hua dekhun

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
phūloñ se lahū kaise Tapaktā huā dekhūñ
āñkhoñ ko bujhā luuñ ki haqīqat ko badal duuñ
haq baat kahūñgā magar ai jur.at-e-iz.hār
jo baat na kahnī ho vahī baat na kah duuñ
har soch pe ḳhanjar sā guzar jaatā hai dil se
hairāñ huuñ ki sochūñ to kis andāz meñ sochūñ
āñkheñ to dikhātī haiñ faqat barf se paikar
jal jaatī haiñ poreñ jo kisī jism ko chhū luuñ
chehre haiñ ki marmar se tarāshī huī lauheñ
bāzār meñ yā shahr-e-ḳhamoshāñ meñ khaḌā huuñ
sannāTe uḌā dete haiñ āvāz ke purze
bāroñ ko agar dasht-e-musībat meñ pukārūñ
miltī nahīñ jab maut bhī māñge se to yārab
ho izn to maiñ apnī salīb aap uThā luuñ
Top Urdushayar.com