hotā nahīñ zauq-e-zindagī kam
buniyād-e-hayāt hai tirā ġham
ehsās-e-jamāl ubhar rahā hai
jab se tirā iltifāt hai kam
tere hī ġhamoñ ne mujh ko baḳhshī
kauñde kī lapak ġhazāl kā ram
sāmān-e-sabāt haiñ safar meñ
ummīd kī pech raah ke ḳham
sham.oñ kī laveñ haiñ yā zabāneñ
aañsū haiñ ki ehtijāj-e-paiham
anjum se khilā.egī shagūfe
shabnam se ladī huī shab-e-ġham
tūfān kā muntazir khaḌā hai
ye ain sahar ko shab kā aalam