Ahmad Nadeem Qasmi

labon pe narm tabassum racha ke dhul jaen

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
laboñ pe narm tabassum rachā ke dhul jaa.eñ
ḳhudā kare mire aañsū kisī ke kaam aa.eñ
jo ibtidā-e-safar meñ diye bujhā baiThe
vo bad-nasīb kisī kā surāġh kyā paa.eñ
talāsh-e-husn kahāñ le chalī ḳhudā jaane
umañg thī ki faqat zindagī ko apnā.eñ
bulā rahe haiñ ufuq par jo zard-rū Tiile
kaho to ham bhī fasānoñ ke raaz ho jaa.eñ
na kar ḳhudā ke liye baar baar zikr-e-bahisht
ham āsmāñ kā mukarrar fareb kyuuñ khā.eñ
tamām mai-kada sunsān mai-gusār udaas
laboñ ko khol ke kuchh sochtī haiñ mīnā.eñ
Top Urdushayar.com