Ahmad Nadeem Qasmi

apne mahaul se the qais ke rishte kya kya

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
apne māhaul se the qais ke rishte kyā kyā
dasht meñ aaj bhī uThte haiñ bagūle kyā kyā
ishq me.ār-e-vafā ko nahīñ kartā nīlām
varna idrāk ne dikhlā.e the raste kyā kyā
ye alag baat ki barse nahīñ garje to bahut
varna bādal mire sahrāoñ pe umDe kyā kyā
aag bhaḌkī to dar-o-bām hue raakh ke Dher
aur dete rahe ahbāb dilāse kyā kyā
log ashiyā kī tarah bik ga.e ashiyā ke liye
sar-e-bāzār tamāshe nazar aa.e kyā kyā
lafz kis shaan se taḳhlīq huā thā lekin
us kā mafhūm badalte rahe nuqte kyā kyā
ik kiran tak bhī na pahuñchī mire bātin meñ 'nadīm'
sar-e-aflāk damakte rahe taare kyā kyā
Top Urdushayar.com