ham din ke payāmī haiñ magar kushta-e-shab haiñ
is haal meñ bhī raunaq-e-ālam kā sabab haiñ
zāhir meñ ham insān haiñ miTTī ke khilaune
bātin meñ magar tund anāsir kā ġhazab haiñ
haiñ halqa-e-zanjīr kā ham ḳhanda-e-jāved
zindāñ meñ basā.e hue ik shahr-e-tarab haiñ
chaTkī huī ye husn-e-gurezāñ kī kalī hai
yā shiddat-e-jazbāt se khulte hue lab haiñ
āġhosh meñ mahkoge dikhā.ī nahīñ doge
tum nik.hat-e-gulzār ho ham parda-e-shab haiñ