gul tirā rañg churā laa.e haiñ gulzāroñ meñ
jal rahā huuñ bharī barsāt kī bauchhāroñ meñ
mujh se katrā ke nikal jā magar ai jān-e-hayā
dil kī lau dekh rahā huuñ tire ruḳhsāroñ meñ
husn-e-be-gāna-e-ehsās-e-jamāl achchhā hai
ġhunche khilte haiñ to bik jaate haiñ bāzāroñ meñ
zikr karte haiñ tirā mujh se ba-unvān-e-jafā
chāra-gar par piro laa.e haiñ talvāroñ meñ
zaḳhm chhup sakte haiñ lekin mujhe fan kī saugand
ġham kī daulat bhī hai shāmil mire shahkāroñ meñ
muntazir haiñ ki koī tesha-e-taḳhlīq uThā.e
kitne asnām abhī dafan haiñ kohsāroñ meñ
mujh ko nafrat se nahīñ pyaar se maslūb karo
maiñ to shāmil huuñ mohabbat ke gunahgāroñ meñ