ham kabhī ishq ko vahshat nahīñ banñe dete
dil kī tahzīb ko tohmat nahīñ banñe dete
lab hī lab hai to kabhī aur kabhī chashm hī chashm
naqsh tere tirī sūrat nahīñ banñe dete
ye sitāre jo chamakte haiñ pas-e-abr-e-siyāh
tere ġham ko mirī aadat nahīñ banñe dete
un kī jannat bhī koī dasht-e-balā hī hogī
zinda rahne ko jo lazzat nahīñ banñe dete
dost jo dard baTāte haiñ vo nādānī meñ
dar-haqīqat mirī sīrat nahīñ banñe dete
fikr fan ke liye lāzim magar achchhe shā.er
apne fan ko kabhī hikmat nahīñ banñe dete
vo mohabbat kā ta.alluq ho ki nafrat kā 'nadīm'
rābte ziist ko ḳhalvat nahīñ banñe dete